FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from KAREEB

Read available KAREEB lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chori chori jab nazarein mili

Singer: KUMAR SANU & SANJEEVANI

Lyrics of Chori chori jab nazarein mili

Yeh kya hua kaise hu Yeh kab hua kya pata Chori chori jab nazarein mili Chori chori phir neendein udi Chori chori yeh dil ne kaha Chori mein bhi hai maza Chori chori jab nazarein mili Chori chori phir neendein udi Chori chori yeh dil ne kaha Chori mein bhi hai maza Chori chori jab nazarein mili Kya jaane kya mil gaya Kya jaane kya kho gaya Tune yeh kya kar diya Mujhko yeh kya ho gaya Palkein jhuki palkein uthi Kya keh diya kya suna Phoolon ke khwaabon mein aakar Khushboo chura le gayi Baadal ka aanchal bhi aakar O paagal hawa le gayi Phoolon ke khwaabon mein aakar Khushboo chura le gayi Baadal ka aanchal bhi aakar Paagal hawa le gayi Ek phool ne ek phool se Phir kaan mein kuchh kaha Chori chori jab nazarein mili Chori chori phir neendein udi Chori chori yeh dil ne kaha Chori mein bhi hai maza Rishton ke neele bhanwar Kuchh aur gehre huay Tere mere saaye hain Pani pe thehre huay Jab pyar ka moti gira Banne laga daira Chori chori jab nazarein mili Chori chori jab nazarein mili Chori chori phir neendein udi Chori chori yeh dil ne kaha Chori mein bhi hai maza Hay

CHURA LO NA DIL SANAM

Singer: KUMAR SANU & SANJEEVANI

Lyrics of CHURA LO NA DIL SANAM

Dil mera chura l Aankhon mein chhupa lo Apna bana lo sanam Na na na.. Na na na.. Haan haan haan Na na na na Chura lo na dil mera sanam Bana lo na apna sanam Ki tere bin na ji sakenge Ki tere bin na mar sakenge Kuchh bhi na kar sakenge Chura lo na dil mera sanam Chura lein kyon dil tera sanam Na na na.. Haan haan haan Na na na na Masala baant loon Main pyaaz kaat loon Chhuri kidhar gayi Uff hai nal khula hua Main keh raha hoon kya Tu sun rahi hai kya Tu sun rahi hai kya Main keh raha hoon kya Tera deewanapan hai yeh O bekhabar kitchen hai yeh Yeh kyon vahaan utha dhuaan Kya jaane kya jal gaya Tere bin na ji sakenge Ki tere bin na mar sakenge Kuchh bhi na kar sakenge Chura lo na dil mera sanam Chura lein kyon dil tera sanam Na jaane kya kaha Kaho na phir zara Sunoon mein gaur se Kaho na zor se Kaha jo zor se To chaaron aur se Hasenge hum pe sab Hamaare shor se Karenge baat phir kabhi Jawaab chaahiye abhi Nahin nahin abhi nahin Itni bhi jaldi hai kya Ki tere bin na ji sakenge Ki tere bin na mar sakenge Hum soch kar kahenge Achcaha hua jo pyaar ki pehchaan ho gayi Dete thay jis pe jaan woh anjaan ho gayi Mausam to main nahin hoon Jo aaoonga jaoonga Rootha jo ek baar to vaapas na aoonga Na na na.. Na na na.. Haan haan haan Na na na na Chura lo na dil mera sanam Bana lo na apna sanam Ki tere bin na ji sakenge Ki tere bin na mar sakenge Hum soch kar kahenge Dil mera churalo Aankhon mein chhupalo Apna banalo sanam..

Haan judaai se darta hai dil

Singer: SANJEEVANI

Lyrics of Haan judaai se darta hai dil

Haan judaai se darta hai di Haan judaai se darta hai dil Maut se to mein darti nahin Aur darti to sun le sanam Sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin Pyaar tujhse main karti nahin Haan judaai se darta hai dil Haan judaai se darta hai dil Ek armaan is paar hai Ek armaan us paar hai Humne khud hi banayi thi jo Raaste mein woh deewar hai Ek khushi dil ne kya maang li Har khushi ko nazar lag gayi Zindagi jab kareeb aayi to Zindagi ko nazar lag gayi Ab tamanna ho dil main koi Ab tamanna ho dil main koi Main tamanna bhi karti nahin Aur darti to sun le sanam Sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin Pyaar tujhse main karti nahin Haan judaai se darta hai dil Haan judaai se darta hai dil Man se man ka hai bandhan agar Tan mile na mile kuch nahin Man ka chandan mehekta rahe Man hi sab kuchh hai tan kuchh nahin Aasmaanon mein so jayega Dastaanon mein kho jayega Tan kisi roz ban kar dhuaan In hawaaon ka ho jayega Pyaar rehta hai zinda sada Pyaar rehta hai zinda sada Aatma hai yeh marti nahin Aur darti to sun le sanam Sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin Pyaar tujhse main karti nahin Haan judaai se darta hai dil..

Haan judaai se darta hai dil (male)

Singer: KUMAR SANU

Lyrics of Haan judaai se darta hai dil (male)

Haan judaai se darta hai di Haan judaai se darta hai dil Maut se to main darta nahin Aur darta to sun le sanam Sun le sanam Pyaar tujh se main karta nahin Pyaar tujh se main karta nahin Haan judaai se darta hai dil Haan judaai se darta hai dil Main akela na reh paoonga Door tak raat hi raat hai Zindagi ek alag cheez hai Zinda rehna alag baat hai Umr kaise guzar paayegi Umr kaise guzar paayegi Ek pal jab guzarta nahin Aur darta to sun le sanam Sun le sanam Pyaar tujh se main karta nahin Pyaar tujh se main karta nahin Haan judaai se darta hai dil Haan judaai se darta hai dil Gham ka mausam guzarta nahin Zakhm yaadon ka bharta nahin Raat parbat hai katti nahin Din hai dariya utarta nahin Meri neendon mein aa jayegi Dhoop suraj ka khanjar liye Todne mera dil aayega Chaand haathon mein paththhar liye Dil darata hai mujh ko magar Dil darata hai mujh ko magar Main yakin dil pe karta nahin Aur darta to sun le sanam Sun le sanam Pyaar tujh se main karta nahin Haan judaai se darta hai dil..

Reet yahi jag ki

Singer: JASPINDER NARULA & SANJEEVANI

Lyrics of Reet yahi jag ki

Shaad rakhe aabad rakh Rabba tenu Ho rabba tenu Shaad rakhe aabad rakhe Rabba tenu Ho mahiya reet yahi jag ki Ho mahiya reet yahi jag ki Dulhan bani hai banni aaj banno shehzadi Aayi rut aayi rut aayi aaj murada di Chheti chheti mehndi laava Sona sona chura paawa Chheti chheti mehndi laava Sona sona chura paawa Dulhan bani hai banni aaj banno shehzadi Ho mahiya reet yahi jag ki Ho mahiya reet yahi jag ki In akhiyon mein jaaye kaise kajra re In mein koi basta Jis raste pe jaye le ke saajan re Wo hai mera raasta Koi milta hai Koi bichhadta hai Kaisa hai yeh rishta Ho mahiya reet yahi jag ki Ho mahiya reet yahi jag ki Dulhan bani hai banni aaj banno shehzadi Aayi rut aayi rut aayi aaj murada di Chheti chheti mehndi laava Sona sona chura paawa Chheti chheti mehndi laava Sona sona chura paawa Dulhan bani hai banni aaj banno shehzadi Pal do pal ab is aangan mein Tera aur thikaana Babul ki yeh nagri tujh ko Chhod ke hoga jaana Ho mahiya reet yahi jag ki Jin galiyon mein maine guzara hai Bachpan hansta gaata Us aangan se us darwaaze se Chhoot raha hai naata Koi bataaye to Koi samjhaaye to Din yeh kyon hai aata Ho mahiya reet yahi jag ki Ho mahiya reet yahi jag ki Dulhan bani hai banni aaj banno shehzadi Dulhan bani hai banni aaj banno shehzadi
Back to Film List

About KAREEB Songs and Lyrics

Explore the KAREEB soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for KAREEB.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics