FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from KARUNYA

Read available KARUNYA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Kya Karu Kya Karu Ek Thi Hasina

Singer: KARUNYA

Lyrics of Kya Karu Kya Karu Ek Thi Hasina

(kya karu kya karu ek thi hasin khwaabon rani thi phoolon si jawaan abb kya karu kya karu paagal main huva pyari si aakhon ka main to deewaana huva teri toh, ladki nakhre wali, main toh seedha sa ladki paise wali, main to bechaara ladki hai khaandaani, main to aawaraa abb pyaar karu ya kadka rahoon mein, tu mujhe bata na) - 2 jahaan hum dono rahenge, wahaan koi aur na ho - 2 bas khwaabon ka aasmaan ho, dekho main kaise musibat mein yun pad gaya teri toh, ladki nakhre wali, main toh seedha sa ladki paise wali, main to bechaara ladki hai khaandaani, main to aawaraa abb pyaar karu ya kadka rahoon mein, tu mujhe bata na mere sapne, sapne rehenge kya hoga aage mera - 2 meri haalat kisko bataaun, dekho main kaise musibat mein yun pad gaya teri toh, ladki nakhre wali, main toh seedha sa ladki paise wali, main to bechaara ladki hai khaandaani, main to aawaraa abb pyaar karu ya kadka rahoon mein, tu mujhe bata na kya karu kya karu ek thi hasina khwaabon rani thi phoolon si jawaan abb kya karu kya karu paagal main huva pyari si aakhon ka main to deewaana huva teri toh, ladki nakhre wali, main toh seedha sa ladki paise wali, main to bechaara ladki hai khaandaani, main to aawaraa abb pyaar karu ya kadka rahoon mein, tu mujhe bata na - 3

Kya Raat Hai Kya Baat Hai

Singer: KARUNYA

Lyrics of Kya Raat Hai Kya Baat Hai

(kya raat hai kya baat hai- 2, dil yeh machalane laga - halka halka chaaye, chalka chalka jaaye, sabki nazar se nasha- 2) - 2 dekho badan saare lagne lage taare, khulake chamkane lage - 2 aankhon se aankhon ki hoti hai baatein jo, baatein samjhane lage kuchh ishaaron mein jaadu chale aakhir rukenge na yeh silsile kya raat hai, kya baat hai, dil yeh machalane laga - 2 halka halka chaaye, chalka chalka jaaye, sabki nazar se nasha - 2 bachake savero se, chhupke andheron mein milate hai aashiq yahaan - 2 masti ke mausam mein, behke se aalam mein hote hain armaan jawaan aag chaahat ki dil mein jale abb rukkenge na yeh silsile kya raat hai, kya baat hai, dil yeh machalane laga - 2 halka halka chaaye, chalka chalka jaaye, sabki nazar se nasha - 2

Main Toh Aasmaan Hoon

Singer: KARUNYA

Lyrics of Main Toh Aasmaan Hoon

main toh aasmaan hoon, unchi daastaan hoon, raaz mera jaan l josh se bhara hoon, khaabon se bhara hoon, mujhko pehchaan lo main hoon dhunaa, udata raha, har mod se mudata gaya main rukata hoon, main na jhukata hoon, keh do tufaan se jaanate hai saare, maante hai saare, jita hoon main shaan se main toh aasmaan hoon, unchi daastaan hoon, raaz mera jaan lo josh se bhara hoon, khaabon se bhara hoon, mujhko pehchaan lo mere aas paas har cheez khaas, phir bhi talaash teri jara dekh dekh le ki ?? ?? mujhko hai pyaas teri tu agar yeh dekhe jara, har taraf hai chehra mera main yahaan, main wahaan, main tera hoon jahaan mere bina bhi kaise jioge bataao na main toh aasmaan hoon, unchi daastaan hoon, raaz mera jaan lo josh se bhara hoon, khaabon se bhara hoon, mujhko pehchaan lo main rukata hoon, main na jhukata hoon, keh do tufaan se jaanate hai saare, maante hai saare, jita hoon main shaan se tere saath saath karuun baat baat, mere hoke mujhse ?? tere jaam jaam pi ke aaj shaam dil dhadkano mein dolein tu bhi kar le mera nasha, bekhabar kya tujhko pata main yahaan, main wahaan, main tera hoon jahaan mere bina bhi kaise jioge bataao na main toh aasmaan hoon, unchi daastaan hoon, raaz mera jaan lo josh se bhara hoon, khaabon se bhara hoon, mujhko pehchaan lo main hoon dhunaa, udata raha, har mod se mudata gaya main rukata hoon, main na jhukata hoon, keh do tufaan se jaanate hai saare, maante hai saare, jita hoon main shaan se main toh aasmaan hoon, unchi daastaan hoon, raaz mera jaan lo

O Ajnabi Kaise Bataau

Singer: KARUNYA

Lyrics of O Ajnabi Kaise Bataau

o ajnabi kaise bataau, tu meri saason ka armaaan ha yeh dhadkane kaise sunaau, tu mere pyaar se anjaan hai dekhta hoon sapne tere, ji raha hoon lamhein sabhi tere liye o ajnabi kaise bataau, tu meri saason ka armaaan hai yeh dhadkane kaise sunaau, tu mere pyaar se anjaan hai saahilon pe aur manzilon pe, raaston pe tere nishaan - 2 zindagi mein tu har kahin hai, teri bin main jaau kahan thamle tu mujhko abhi, ji raha hoon lamhein sabhi tere liye o ajnabi kaise bataau, tu meri saason ka armaaan hai yeh dhadkane kaise sunaau, tu mere pyaar se anjaan hai sochata hoon aur chaahata hoon, pyaar tera mujhko milein - 2 keh rahein hai jazabaat mere, door kar de yeh faasale mil zara tu mujhko kabhi, jee raha hoon lamhein sabhi tere liye o ajnabi kaise bataau, tu meri saason ka armaaan hai yeh dhadkane kaise sunaau, tu mere pyaar se anjaan hai dekhta hoon sapne tere, ji raha hoon lamhein sabhi tere liye o ajnabi kaise bataau, tu meri saason ka armaaan hai yeh dhadkane kaise sunaau, tu mere pyaar se anjaan hai

O Jaan-E-Jaan Dhoondu Kahaan

Singer: KARUNYA

Lyrics of O Jaan-E-Jaan Dhoondu Kahaan

(o jaan-e-jaan dhoondu kahaan, tu hai kahaa tera pata tu hi bata de, tadpa rahi hai yeh dooriyan) - 2 tanhaiyo mein khoyi huyi baahein khaamoshiyon mein doobi huyi raahein o jaan-e-jaan dhoondu kahaan, tu hai kahaan tera pata tu hi bata de, tadpa rahi hai yeh dooriyan (meri yaadhon mein teri parchaaiyaan mere khwaabon mein hai teri andaaiyaan) - 2 aa jaao na, tarsaao na o o o......... o jaan-e-jaan dhoondu kahaan, tu hai kahaan tera pata tu hi bata de, tadpa rahi hai yeh dooriyan (tujhe dekhe bin aankhon mein hai badliyaan abb phoolon se milti nahi teetliyan) - 2 aa jaao na, tadpaao na o o o........ o jaan-e-jaan dhoondu kahaan, tu hai kahaan tera pata tu hi bata de, tadpa rahi hai yeh dooriyaan tanhaiyo mein khoyi huyi baahein khaamoshiyon mein doobi huyi raahein o jaan-e-jaan dhoondu kahaan, tu hai kahaan tera pata tu hi bata de, tadpa rahi hai yeh dooriyan, yeh dooriyan...

Saara Jahaan Mujhpe Fida

Singer: KARUNYA

Lyrics of Saara Jahaan Mujhpe Fida

saara jahaan mujhpe fida, mujhme woh baat hai dekhe jidhar meri nazar, sab mere saath hai (saara jahaan mujhpe fida, mujhme woh baat hain dekhe jidhar meri nazar, mere deewaane hai, naacho gaao saara jahaan mere saaath hai - 2) - 2 (mere baaton mein hai pyaar ka nasha, pyar ka nasha... saare khwaaabon mein hoon main hi basa, main hi basa...) - 2 main yahan bhi, main hoon wahaan bhi chaaro taraf mein mujhko hi dekhe duniya saara jahaan mere saaath hai - 4 saara jahaan mujhpe fida, mujhme woh baat hain dekhe jidhar meri nazar, mere deewaane hai, naacho gaao saara jahaan mere saaath hai - 2 (saari dharati ambar kiske liye, tere liye... saari jannat khusiyaan kiske liye, tere liye...) - 2 main yahaan bhi, main hoon wahaan bhi chaaro taraf main mujhko hi dekhe duniya sara jahaan mere saaath hai - 4

Sona Main, Sona Main

Singer: KARUNYA

Lyrics of Sona Main, Sona Main

(sona main, sona main, dil ka yaar hoon chang sona main, sona main, mera naam hai malanga jara jhumke jhumke jhumke jhumo re - 2) - 2 roko aaj na, main ta naachna tere naal naal gori - 2 tere aage toh hai saari hi bekaar kaliyaan teri baatein jaisi gud ki daliyaan mere honto ko pilade thoda pyaar akhiyon se jara jhumke jhumke jhumke jhumo re - 2 sona main, sona main, dil ka yaar hoon changa sona main, sona main, mera naam hai malanga jara jhumke jhumke jhumke jhumo re - 2 aankhein modna, dil ta jodna, dil ki taal taal boli - 2 tere nakharein di kudiye kamaal lagade mere nain tere liya jagade mere honto ko pilade thoda pyaar akhiyon se jara jhumke jhumke jhumke jhumo re - 2 sona main, sona main, dil ka yaar hoon changa sona main, sona main, mera naam hai malanga jara jhumke jhumke jhumke jhumo re - 2

Teri Aankhen, Ankhon Mein Jaadu Hai

Singer: KARUNYA

Lyrics of Teri Aankhen, Ankhon Mein Jaadu Hai

(teri aankhen, teri aankhen, ankhon mein jaadu ha teri baatein, teri baatein, baaton mein jaadu hai o o o tera main deewaana ho gaya, ai ai o main to deewaana ho gaya, ai ai o) - 2 (teri khushoobo se mehki meri saansein sanam teri zulfon ke saaye mein rahoon) - 2 meri jaana adaayein teri sab se juda o o o tera main deewaana ho gaya, aai aai o main to deewaana ho gaya, aai aai o teri aankhen, teri aankhen, ankhon mein jaadu hai teri baatein, teri baatein, baaton mein jaadu hai o o o tera main deewaana ho gaya, ai ai o main to deewaana ho gaya, ai ai o (teri yaadon mein to dooba dooba rahoon tere bin kuch na sochu sanam) - 2 mere khwaabon mein aaye jaaye chehra tera o o o tera main deewaana ho gaya, ai ai o main to deewaana ho gaya, ai ai o teri aankhen, teri aankhen, ankhon mein jaadu hai teri baatein, teri baatein, baaton mein jaadu hai o o o tera main deewaana ho gaya, ai ai o main to deewaana ho gaya, ai ai o tera main deewaana ho gaya, main to deewaana ho gaya hoo oo o yea yea deewaana deewaana deeeeeeeeeeeeewaana

Teri Baahon Mein

Singer: KARUNYA

Lyrics of Teri Baahon Mein

teri baahon mein - teri baahon mein - 3 hai jeene ki tamanna teri baahon mein - 3 hai marne ki tamanna tere khaabon mein, teri chaahat mein - 2 ai sanam tere liye saara jahaan chhoda hai teri baahon mein - 3 hai jeene ki tamanna (madhoshi mein jhumein jara, tanha tanha jaan deewaanaapan ka yeh nasha halka halka sa) - 2 tere khaabon mein, teri chaahat mein - 2 ai sanam tere liye saara jahaan chhoda hai teri baahon mein - 3 hai jeene ki tamanna teri baahon mein - 3 hai marne ki tamanna (khaamoshi mein dooba jahaan behka behka sa aawaaraapan ka yeh sama mehka mehka sa) - 2 tere khaabon mein, teri chaahat mein - 2 ai sanam tere liye saara jahaan chhoda hai teri baahon mein hmm hmm hmm hmm... teri baahon mein - 3 hai jeene ki tamanna teri baahon mein - 3 hai marne ki tamanna tere khaabon mein, teri chaahat mein - 2 ai sanam tere liye saara jahaan chhoda hai teri baahon mein - 3 hai jeene ki tamanna
Back to Film List

About KARUNYA Songs and Lyrics

Explore the KARUNYA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for KARUNYA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics