FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from MAALTI MADHAV

Read available MAALTI MADHAV lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Baandh Priti Phuul Dor

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Baandh Priti Phuul Dor

baandh priti phuul dor, man leke chitcho duur jaana naa, duur jaana na man ki kivaad khol, mita mere anamol bhuul jaana naa, bhuul jaana na kaise sahuun vichhohan, man mein rama hai mohan ruuth jaana naa, ruuth jaana na

Koi Bana Aaj Apana

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Koi Bana Aaj Apana

koyi bana aaj apana - sukh mein aankhein band ho rahi khule hriday ke dvaar do man milakar ek huye hain do do naina chaar - 2 chaar nain dekhein hil mil kar ek madhur sapana bana aaj apana chaar charan par paanch ek hai chaar agar do baat ek git mein bandhati jaati chaar chaandani raat - 2 madhur prit ki phulmaala par praan naam japana bana aaj apana prem hindola jhuulein hil mil ek qadam ????? naache rut chham chham ke bhare bahan mein bahan - 2 baar baar nainon ka milana palakon ka jhapana bana aaj apana

Main Yauvan Ban Ki Kali

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Main Yauvan Ban Ki Kali

o main yauvan ban ki kali, o o mujhe kali se phool bana de priti pavan baha chali, o o~ main yauvan ban ki kali ulajh ulajh jaata kyon achala - 2 ??????? chupake se aake anjaane mukh par laali mali main yauvan ban ki puuchh rahe panchhi kit jaati kisake hit aramaan banaati - 2 kaise kah duun main priya se milane nikali - 2 main yauvan ban ki jab main unaki ho jaauungi - 2 dhan aanand mein kho jaauungi - 2 luk chhup kheluungi badali mein - 2 ban ban ke bijali main yauvan ban ki

Man Mein Mere Angaare Hain

Singer: LATA, SUDHIR PHADKE

Lyrics of Man Mein Mere Angaare Hain

chhabi teri madhur madhur pyaar par aansuu mere haare hain nainon se bahe jal ki dhaara man mein mere angaare hain man mein mere angaare hain - 3 su: aasha ke palav suukh gaaye aasha ke palav suukh gaaye kumhalayi sapanon ki kaliyaan kal milan murali ka baagi jahaan suuni man madhuban ki galiyaan suune nainon ke gagan bich ye aansuu bhor ke taare hain man mein mere angaare hai man mein mere angaare hain jab chaah na puuri honi thi jab chaah na puuri honi thi di chaah milan ki kyon man ko yuun jina hai to jine ka adhikaar diya kyon jivan ko kab ghadi milan ki aayegi ye vikal praan path haare hain man mein mere angaare hain man mein mere angaare hain

Man Saunp Diya Anjaane Mein

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Man Saunp Diya Anjaane Mein

man saunp diya anjaane mein - anjaane mein, anjaane mein - 2 nainon ne daras ras kiya paan kar diya palak mein hriday daan - 2 ek jhalak mein baandhe nainon se praan - 2 kitana sukh hai bandh jaane mein - 2 man saunp diya aankhon ko kya ho gaya aaj hai path mein ataki bina kaaj - 2 pag pag par inako baraje laaj - 2 ye aati nahin bahalaane mein - 2 man saunp diya
Back to Film List

About MAALTI MADHAV Songs and Lyrics

Explore the MAALTI MADHAV soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for MAALTI MADHAV.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics