FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SANGAM

Read available SANGAM lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Dost dost na raha

Singer: MUKESH

Lyrics of Dost dost na raha

Dost dost na raha, pyaar pyaar naa rah Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha Amaanatein main pyaar ki, gaya tha jisko saunp kar Woh mere dost tum hi the, tumhi to the Jo zindagi ki raah me bane the mere hamsafar Woh mere dost tum hi the, tumhi to the Saare bhed khul gaye, raazdaar na raha Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha Dost dost na raha... Safar ke waqt mein palak pe motiyo ko taulti Woh tum na thi to kaun tha tumhi to thi Nashe ki raat dhhal gayi ab khumaar na raha Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha Dost dost na raha...

Har Dil Jo Pyar Karega

Singer: MUKESH, LATA MANGESHKAR, AND MAHENDRA KAPOOR

Lyrics of Har Dil Jo Pyar Karega

Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega - Deewana sekdon mein pehchaana jaayega - 2 Deewana Aap hamaare dil ko churaakar aankh churaaye jaate hain Yeh ek tarfa rasm-e-vafa hum phir bhi nibhaaye jaate hain Chaahat ka dastoor hai lekin aap ko hi maaloom nahin, o Jis mehfil mein shamma ho parwaana jaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Bhooli bisri yaadein mein hanste gaate bachpan ki Raat beraat chali aati hai neend churaane nainan ki Ab keh doongi karte karte kitne saawan beet gaye, ho Jaane kab in aankhon ka sharmaana jaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Apni apni sabne keh li, lekin hum chupchaap rahe Dard paraaya jisko pyaara, voh kya apni baat kahe Khaamoshi ka yeh afsaana reh jaayega baad mere, o Apna ke har kisi ko begaana jaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Deewana

Main Kya Karun Raam Mujhe Buddha Mil Gaya

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Main Kya Karun Raam Mujhe Buddha Mil Gaya

main kyaa karun raam mujhe buddha mil gaya haay, haay buddha mil gayaa main gudiyaa hasin meri morani si chaal hai sar mein safed usake dada ji sa baal hai bigadega har kaam mujhe buddha mil gayaa main kyaa karun raam mujhe buddha mil gayaa... sab jo gaye baag meraa buddha bhi chalaa gaya sab to laaye phuul buddha gobhi le kar aa gaya main ho gai badnaam mujhe buddhaa mil gaya main kya karun raam mujhe buddha mil gaya ... pariyon ke desh mujhe buddha le kar aa gaya main ne jo uthaya ghuunghat buddha gussaa khaa gaya ab kyaa hogaa anjaam mujhe buddha mil gaya main kya karun raam mujhe buddha mil gaya...

Mere Man Ki Ganga

Singer: MUKESH

Lyrics of Mere Man Ki Ganga

Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna K Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin Are Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin Nahin...Nahin...Nahin Kitni Sadiyan Beet Gayi Hain Hai Tujhe Samjhane Mein Mere Jaisa Dheeraj Wala Hai Koi Aur Zamane Mein Dil Ka Badhta Bojh Kabhi Kam Hoga Ke Nahin Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin Nahin...Nahin...Kabhi Nahin...Chup Do Nadiyon Ka Mail Agar Itna Paavan Kehlata Hai Kyon Na Jahan Do Dil Milte Hain Swarg Wahin Ban Jata Hai Har Mausam Hai Pyar Ka Mausam Hoga Ke Nahin Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin Jaoo Na Kyon Satate Ho...Hoga ...Hoga... Hoga.

O mere sanam, o mere sanam

Singer: LATA MANGESHKAR AND MUKESH

Lyrics of O mere sanam, o mere sanam

--FEMALE- Aa aa, aa aa aa aa (O mere sanam, o mere sanam Do jism magar ek jaan hain hum Ek dil ke do armaan hain hum) - 2 O mere sanam, o mere sanam Tan saunp diya, man saunp diya Kuch aur to mere paas nahin Jo tumse hai mere hamdam Bhagwaan se bhi voh aas nahin - 2 Jis din se hue ek duje ke Is duniya se anjaan hain hum Ek dil ke do armaan hain hum O mere sanam, o mere sanam --MALE-- Sunte hain pyaar ki duniya mein Do dil mushkil se samaate hain Kya gair vahan apnon tak ke Saaye bhi na aane paate hain - 2 Humne aakhir kya dekh liya Kya baat hai kyoon hairaan hain hum Ek dil ke do armaan hain hum O mere sanam, o mere sanam --FEMALE-- Mere apne, apna yeh milan Sangam hai yeh ganga jamuna ka Jo sach hai saamne aaya hai Jo beet gaya ek sapna tha - 2 Yeh dharti hai insaanon ki Kuch aur nahin insaan hain hum Ek dil ke do armaan hain hum --MALE-- O mere sanam, o mere sanam Do jism magar ek jaan hain hum Ek dil ke do armaan hain hum O mere sanam, o mere sanam --FEMALE-- (O, o, o)
Back to Film List

About SANGAM Songs and Lyrics

Explore the SANGAM soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SANGAM.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics