FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from UDAN KHATOLA

Read available UDAN KHATOLA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chale Aaj Tum Jahaan

Singer: RAFI

Lyrics of Chale Aaj Tum Jahaan

chale aaj tum jahaan se, hui zindagi paraayi tumhein mil gaya thikaanaa, hamein maut bhi na aayi o duur ke musaafir ham ko bhi saath le le re ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele tuune vo de diya gam, bemaut mar gaye ham dil uth gaya jahaan se, le chal hamein yahaan se le chal hamein yahaan se kis kaam ki ye duniya jo zindagi se khele re ham ko bhi saath le le, ham rah gaye akele suuni hain dil ki raahen, khaamosh hain nigaahein naakaam hasaraton ka uthane ko hai janaaza uthane ko hai janaaza chaaron taraf lage hain barabaadiyon ke mele re ham ko bhi saath le le, ham rah gaye akele o duur ke musaafir ham ko bhi saath le le re ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele

Dooba Tara Umeedo Ka

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Dooba Tara Umeedo Ka

dooba taara ummiidon ka sahaara chhut gaya -2 jab unake haath se daaman hamaara chhut gaya o dooba taara ... geet milan ke gaati duniya dekh saki na hamko pyaar pe koi bas na chala to -2 chhin liya pritam ko -2 haay pritam ko nagri mere armaanon ki zamaana loot gaya jo mere haath se ... pyaase ko saagar dikhala ke chhin liya kyon paani o o jag vaale o jag vaale tuune bhi mere -2 dil ki lagi na jaani -2 haay na jaani tukade ho gae mere dil ke nasiiba phuut gaya jo mere haath se ...

Garibon Ko Tu Aye Duniya

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Garibon Ko Tu Aye Duniya

garibon ko tu aye duniya sata le jitna ji chaahe -3 ( teri hasrat na reh jaaye ) -2 rula le jitna ji chaahe garibon ko tu aye duniya ... mujhe naakaam rehne de mujhe barbaad rehne de -2 magar toote hue dil mein kisi ki yaad rehne de -2 hansi ujdi mohabbat ki uda le jitna ji chaahe garibon ko tu aye duniya ... na ham honge na gam honge zamaane woh bhi aayenge -2 mohabbat jeet jaayegi sitamgar haar jaayenge sitam ke teer seene par chala le jitna ji chaahe teri hasrat na reh jaaye ...

Ghar Aaya Mehmaan Koi

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Ghar Aaya Mehmaan Koi

la: ghar aaya mehmaan koi jaan na pehchaan bane baalam o bada zaalam ho bada zaalam ko: o ghar aaya mehmaan ghar aaya mehmaan koi jaan na pehchaan bane baalam o bada zaalam ho bada zaalam la: pehale nainan mein phir man mein aaya chaandni mere jeevan mein laaya ho ko: pehale nainan mein phir man mein aaya ho chaandni mere jeevan mein laaya ho la: o o chanda ki khidki se dekhe jo ghuur khada duur, jiya chuur ko: hoy chanda ki khidki se dekhe jo ghuur khada duur jiya chuur la: mohe chhede har aan kare maan beimaan bane baalam o bada zaalma ho bada zaalam la: o kare natkhat ishaaron mein batiyaan -2 jiya dhadke mora -2 phadke ankhiyaan ko: o phadke ankhiyaan la: o o phadke ankhiyaan ho ko: kare natkhat ishaaron mein batiyaan ho jiya dhadke moraa, phadke ankhiyaan la: o o laage na manva pe birah ka teer bahe neer uthe peer ko: hoy laage na manva pe birah ka teer bahe neer uthe peer la: kahi jaaye na jaan main naadaan hu anjaan bane baalam o bada zaalam ho bada zaalam ko: o ghar aaya mehmaan ghar aaya mehmaan koi jaan na pehchaan bane baalam o bada zaalam ho bada zaalam

Haal E dil Main Kya Sunau

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Haal E dil Main Kya Sunau

haal-e-dil main kya kah mushkil hai mere saamne haal-e-dil main kya kahu -2 mushkil hai mere saamne -2 bhole bhaale roop mein -2 qaatil hai mere saamne -2 haal-e-dil ... ( meri ummeedon ki kashti paar ho jaane bhi de paar ho jaane bhi de ) -2 ruk ja aye toofaan tu -2 saahil hai mere saamne -2 haal-e-dil ... ( josh kehta hai ke chal aur hosh kehta hai sambhal ) -2 hosh kehta hai sambhal kiska kehna maan lu -2 manzil hai mere saamne -2 haal-e-dil main kya kahu ...

Humaare Dil Se Na Jana

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Humaare Dil Se Na Jana

humaare dil se naa jaanaa, dhokhaa naa khaanaa, duniyaan badee beeemaa mai hoo jee pyaar kee pahalee nishaanee aankhon se aaj kahoo dil kee kahaanee sun lo jee paiyyaa padoo, dekho jee binatee karu umar bhar laaj nibhaanaa, dil naa dukhaanaa, balamaa kahaa meraa maan meethhe do bol yahaa mushkil hain bolanaa duniyaa se bhed kabhee man ke naa kholanaa zoothhee hain pareet yahaa, koee naa meet yahaa buraa hain aaj jamaanaa, toote jiyaa naa, ulazan mein hain meree jaan

Mere Paas Aao Mere Dil Se Khelo

Singer: RAFI

Lyrics of Mere Paas Aao Mere Dil Se Khelo

a sambhalkar khelna dariyaa se maujon ki rawaani mein jalenge dil hazaaron aag lag jaayegi paani mein (naa toofan se khelo naa saahil se khelo mere paas aao mere dil se khelo ) - 2 naa toofan se khelo ( ye kehte hain tumse umangon ke dhaare ) -2 lagaa do muhabbat ki naiyaa kinaare - 2 chalo dil ki duniyaa mein sang-sang hamaare - 2 milaa hain jo rastaa to manzil se khelo mere paas aao mere dil se khelo naa toofan se khelo (lagi dil ki paani se bujh naa sakegi) - 2 jahaan tak bujhaaoge badhati rahegi - 2 na socho ke duniyaa hamein kya kahegi -2 muhabbat hai mushakil to mushkil se khelo mere paas aao mere dil se khelo naa toofan se khelo mere paas aao mere dil se khelo naa toofan se khelo

More Sainya Ji Utarenge

Singer: LATA MANGESHKAR, CHORUS

Lyrics of More Sainya Ji Utarenge

haiyya ho haiyya re haiyyaa, haiyya ho haiyya re haiyy haiyya ho haiyya re haiyyaa, haiyya ho (more sainya ji more sainya ji utarenge paar ho nadiya dheere baho ) - 2 dheer baho dheere dheere dheere baho nadiya haiyya ho haiyya re haiyyaa, haiyya ho chanchal dhaara behta paani behta paani haiyya ho haiyya re haiyyaa haiyya ho jalathal nadiya ho jalathal nadiyaa haiyya ho haiyya re haiyyaa naav puraani sar pe khada manjhadhaar ho haiyya re haiyyaa sar pe khada manjhadhaar ho nadiya dheere baho more sainya ji ho more sainya ji utarenge paar ho nadiya dheere baho dheer baho dheere dheere dheere baho nadiya haiyya ho haiyya re haiyyaa, haiyya ho haal talaiyya duniya maani o duniya maani haiyya ho haiyyaa mann ka saagar kou na jaane, kou na jaane haiyya ho haiyyaa main jaanoon ya mora yaar ho haiyya re haiyyaa main jaanoon ya mora yaar ho nadiya dheere baho more sainya ji ho more sainya ji utarenge paar ho nadiya dheere baho dheer baho dheere dheere dheere baho nadiya haiyya ho haiyya re haiyyaa, haiyya ho

Udan Khatole Waale AA Re

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Udan Khatole Waale AA Re

ko: ahaahaha aha ha ha ha aha ha ha ha ha mera salaam le ja la: mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja (udan khatole vaale aa re)-2 ko: mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja (udan khatole vaale aa re)-2 la: la la la la la la la la ho ko: la la la la la la la la ho la: udata havaaon mein, baadal ke chhaanv mein, kaun se gaanv mein jaayega tu ko: udata havaaon mein, baadal ke chhaanv mein, kaun se gaanv mein jaayega tu la: neeche zameen hain, duniya haseen hain, dil ko yakeen hain aayega tu ko: neeche zameen hain, duniya haseen hain, dil ko yakeen hain aayega tu hoy, mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja (udan khatole vaale aa re)-2 la: la la la la la la la la ho ko: la la la la la la la la ho la: uunchi udaan hai, palkon pe jaan hai, aage toofaan hain jaana kaheen ko: uunchi udaan hai, palkon pe jaan hai, aage toofaan hain jaana kaheen la: manzil bhi duur hai, himmat bhi chuur hai, aana zaruur hai aaja yahi ko: manzil bhi duur hai, himmat bhi chuur hai, aana zaruur hai aaja yahi hoy, mera salaam le jaa, dil ka payaam le jaa, ulfat ka jaam le ja (udan khatole vaale a re)-2
Back to Film List

About UDAN KHATOLA Songs and Lyrics

Explore the UDAN KHATOLA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for UDAN KHATOLA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics