FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from YUN HOTA TOH KYA HOTA

Read available YUN HOTA TOH KYA HOTA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Ek Baar Jana

Singer: CHORUS, DEVCHAND GADHVI, JAVED ALI, KIRTI SAGATIA, MADHUSHREE

Lyrics of Ek Baar Jana

ek baar jana - 3 america janaa ek baar jana - 3 america janaab kaam bhi milega wahaan daam bhi milega wahaan naam bhi milega wahaan poore ho jaayenge sab aapke khwaab ek baar jana - 3 america janaab kaam bhi milega wahaan daam bhi milega wahaan naam bhi milega wahaan poore ho jaayenge sab aapke khwaab ek baar jana - 3 america janaab chaaro taraf bikhre hai durr saar hamse dard se paraya aadmi na wahaan kahi koi kami hai kya zameen kya aasmaan sabse haseen hai woh jahaan kaam bhi milega wahaan daam bhi milega wahaan naam bhi milega wahaan poore ho jaayenge sab aapke khwaab ek baar jana - 3 america janaab arey jo gaya wahi ka ho gaya usmein hai kashish badi ghazab ki uski roshani mein kho gaya uski aarzoo hai kuchh ajab si ek baar jo jaaunga main waapas na aaunga main kaam bhi milega wahaan daam bhi milega wahaan naam bhi milega wahaan poore ho jaayenge sab aapke khwaab ek baar jana - 3 america janaab husn ki bahaar milegi gori gori hongi goriyaan ishq ki kali bhi khilegi baandh lena dil ki doriyaan chaahoge jo paaoge woh kehna mera maan lo kaam bhi milega wahaan daam bhi milega wahaan naam bhi milega wahaan poore ho jaayenge sab aapke khwaab ek baar jana - 3 america janaab ek baar jana - 3 america janaab

Mann Ke Darpan Mein

Singer: OM THE FUSIN BAND

Lyrics of Mann Ke Darpan Mein

mann ke darpan mein dekhe hai kitne rang jeevan ke - saat surr milke jaise sangeet mein dhale phool chun chun ke jaise gulshan koi khile mann ke darpan mein dekhe hai kitne rang jeevan ke pal mein baadal hai pal mein kirnen hai bhor hai saanjh hai kabhi ek pal mann niraash hai aas hai kabhi pal mein muskaan pal mein hairaan pyar hai darr hai kabhi log apane hai ek pal gair hai kabhi pal yeh kab jaane din bane jaane kaise din badle saal mein ungliyon pe gine agar yun toh saal bhi gujre hai kai pichhe mudd ke jo ek baar aaj bhi yaad hai sabhi yaadon ke saath khwaabon ke silsile chale beete har pal ke rang har khwaab mein mile mann ke darpan mein dekhe hai kitne rang jeevan ke - 2 bin ladakpan ke manchalepan ke kitne maasoom the sabhi ab hai afsos ke laut ke aayenge sabhi pal do pal ke hai saare ehsaas pal do pal ki hai zindagi rishten naaten bhi khel hai pal do pal ke behti nadiyan ki dhaar ke jaisi har khushi aani jaani hai saansen jab tak hai chal rahi dhadkanon mein jab tak rawaani hai ek roshan diye ke lau jaisi zindagi ki kahaani hai aandhiyon mein bhi zindagi ki yeh lau jale ??? ki lay pe umra ki dastaan chale

Yaadon Mein Aksar

Singer: SHAAN, SHREYA GHOSHAL

Lyrics of Yaadon Mein Aksar

yaadon mein aksar aate rah kuchh pal hasake rulaate rahe tumko bhula na paaye kabhi lagta hai tum saath mein ho abhi kya khub lamge hai ham aaj phir se hai saath udd ke chale asmaan ke paar dil ki tammanna hai baar baar bikhre hue khwaab kitne aankhen hai khud mein basaaye khwaabon mein na mil sake jo aaon unhen dhund laaye phir hoke sach khwaab apane chalne lagene saath saath samjho na tum yeh zara si baat samandar ki lehron ko dekho tute magar tham na jaaye saahil se milne ke khaatir leke umeeden woh aayen ham tum bhi lehron ki tarah milte rahenge baar baar lamhen yeh aayenge baar baar

Yun Hota Toh Kya Hota

Singer: KUNAL GANJAWALA, SUNIDHI CHAUHAN

Lyrics of Yun Hota Toh Kya Hota

ho ho o ho ho h ho ho o ho ho ho ho ho ho ho ho ho ho ho ho ho ho ehsaas mein duba duba aawarapan paagal paagal hai jism-o-jaan jism-o-jaan jism-o-jaan betaabiyaan kahe yahi nazar ne kiya duri jo na hoti darmiyaan darmiyaan darmiyaan yun hota toh kya hota - 3 maine tumhe chaha badi armaan se tumhe dekha har pal pyar se pyar se pyar se mere hamnawa maine tumhen dil de diya kabhi tum bhi kehte yaar se yaar se yaar se yun hota toh kya hota - 3 yaad aa gaye ek ek woh saare pal jinhen hamne guzara saath mein saath mein saath mein dobara ho yahaan agar milte nahi chubhti aaahen jasbaat mein raat mein raat mein raat mein yun hota toh kya hota - 4 hota nahi mere tan mann tera intezaar kat ti nahi tanha zindagi zindagi zindagi tum saamne mere agar rahte sadaa na hoti jahaan ki bebasi bebasi bebasi yun hota toh kya hota - 4 toofan sa abhi yahaan jo aaya tha barbaadi ka jo saaya tha saaya tha saaya tha uss mauj mein ham bhe beh jaate toh farmaan jo maut ka laaya tha laaya tha laaya tha yun hota toh kya hota - 4
Back to Film List

About YUN HOTA TOH KYA HOTA Songs and Lyrics

Explore the YUN HOTA TOH KYA HOTA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for YUN HOTA TOH KYA HOTA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics